Ek Lafz Muqadar Hai Is Say Lar K Dekho Tum, Haar Na Jao To Mera Naam Badal Dena, Ek Lafz Acha Dost Hai Zamanay Mein Nahi Milta, Kahin Say Dhoond Kr Lao To Mera Naam Badal Dena, Ek Lafz Aansu Hai Isay Dil Mein Chupa Kr Dekho Tum, Aankhon Say Na Beh Jaey To Mera Naam Badal Dena, Ek Lafz Judai Hai Isay Seh K Dekho Tum, Toot Kr Na Bikhar Jao To Mera Naam Badal Dena.