Sab se chupa ker dard jo wo muskra diye, Uski hansi ne to aaj mujh ko rula dia, Lehjay se uth rahi thi har ik dard ki dastan, Chehra bata rha tha k sub kuch ganwa dia, Awaz mein thehrao tha ankhon mein nami thi, Aur keh rha tha k maine sab kuch bhula dia.