Koi ehed b usko yaad nhi, koi baat b us ko yaad nhi, ik shakhs ne usko chaha tha, wo zaat b us ko yaad nhi, jab shab ki bijli chamki thi, aur badal toot k barsa tha, hum dono jis main bheegay they, wo barsat b usko yaad nhi, wo sahil darya phool hawa, wo wady sath nibhany k Aur shab bhar chaand ko dekha tha, wo raat b usko yaad nhi, wo kehti thi main sunta tha, main kehta tha wo sunti thi, un lakhon batoon main se ab, koi ik baat b usko yaad nhi.