Woh kaisa shakhs ha k her roz saza deta hai, Phir hansata ha woh itna k bhula deta hai, Kabhi jo row dey to mujko b bhool jata hai, Aur phir bhool k mujhko b rula deta hai, Usay pochoon k bata kis se muhabbat hai tumhein, Naam sargoshi main mera hi suna deta hai, Khud hi kehta hai na dohrao purani yadain, Main na dohraon to phir khud he suna deita hai, khud hi likhta hai k jazbat main halchal na karo, Aur phir khud hi nai aag laga deta hai.